Kuch le gayi hai apne sath,
kuch chod gayi hai mere pass, ye dooriyan....
ek clear si subah, na badal na thand na hawa ka ekbhi zhonka.
mano jaise ruk gayi ho ghadi ki suyiya bhi ..
shanti charo taraf itni, ki sunai de sirf dhadkan aur sanso ki chehal-pehal.
Sanse toh chal rahi hai...lekin ghadi ruk gayi hai.
Ye dooriyan badh rahi hai, ya kam ho rahi hai!
Kuch din pehle ki baat hai,
jaane pehchane raste se gujarate waqt,
kisi anjani awaaj ne jor se pukara,
kuch mahino pehle yaha se koi gujarata tha, kaha hai woh?
bina kuch bole jawab mil gaya uss awaaj ko ,
udhar bhi koi rasta shayad aisehi namkin ho raha hai.
waha se yaha tak, na baat na mulakat ho rahi ha.
Ye dooriyan badh rahi hai, ya kam ho rahi hai!
kabhi zindagi lekar gayi kahi,
shayad yeh pata nahi tha meri dor bandi thi kahi.
woh hasi ab hasati nahi, chidhati hai, aur puchti hai
kya tum apna paoge kisiko kabhi?
har khwab ab likhe huye pate par hi aata hai..
chahe aankhe band ho ya ho suraj sar pe.
yeh itna faasla hai ki suraj bhi tai nahi kar pata,
samaz me nahi aata,
Ye dooriyan badh rahi hai, ya kam ho rahi hai!
No comments:
Post a Comment